Sunday, November 9, 2008

Chapter 6 Samprayik Ashrav

Date of Swadhyaya: 19th Oct
Chapter No: 6 (Ashrav)
Sutra No: 5 , Pg 131

Indriy-kashayavratakriyah panch-chatuh

panch-panchvinshati-sankhyah purvasya bhedah

Summary:

Ashrav Ke do Bhed :

a) Samprayik Ashrav - Kashay Sahit jivo ko hota hai, Upto 10th Gunsthan
b) Iryapath Ashrav - Kashay Rahit Jivo ko hota hai, 11 -13 Gunsthan

Samprayik Ashrav Ke Bhed
a) Paanch Indriya - Touch , Taste, Smell , Sight and Hearing.
b) Chaar Kashay - Krodh , Maan , Maya , Lobh
c) Paanch Avrat – Hinsa, Asatya , Chori, Kushil , Parigrah.
d) and following 25 kriyas

1) Samyaktva Kriya - Jis kriya se samyaktva ki pushti hoti hai ,
Strenghtens faith (Sache dev Shashtra Guru ki puja, Reading true
scriptures etc.)
2) Mithyatva Kriya - Jis Kriya se mithyatva ki pushti hoti hai (
Kudev, Kuguru ki puja, Reading false scriptures etc)
3) Prayog Kriya - Kay adi se gaman agman karna
4) Samadan Kriya - Vrato ka palan nahi karna
5) Iryapath Kriya - Savdhani se chalna

Parhinsa (6-10)

6) Pradoshiki Kriya - Krodh ke avesh mein jo kriya ki jaati hai, jaise
krodh mein dusre par aarop lagana.
7) Kayiki Kriya - drushtta purvak udham karna
8) Adhikarniki Kriya - Hathyar rakhna (Gun, Sword etc) jis padarth ko
dekh kar dwesh ho, dusre ko marne ka bhaav aye.
9) Paritapiki Kriya - Jo kriya praniyoko dukh pohchati hai
10) Pranitipatiki Kriya - Taking away life, senses.

Indriya Bhog (11-15)

11) Darshan Kriya - Sundar vastu, Roop ko dekhne ka raag (obsession to
see beautiful things)
12) Sparshan Kriya - Pramad se alingan karne ki bhavna
13) Pratyayiki Kriya - Vishayki nayi nayi samgri jutana
14) Samantanupat Kriya - Uthne bethne ki jagah par mal mutra adi karna.
15) Anabhog Kriya - Dekhe bigar bina saaf ki hui jamin par uthna bethna

Dharm Charan me dhakka (16-20)

16) Swahast Kriya - Jo kaam dusre ka hein use swayam apne fayde ke liye karna.
17) Nisarg Kriya - Jo pravruti paap ka karan hai usme sanmati dena
18) Vidaran Kriya - Dusre ke dwara kare gaye papo ko jaher mein pragat karna.
19) Agya Vyapadiki kriya - Charitra mohniy ke karan Shashtro mein
vihit kriya ka anytha (misinterpret) kathan karna.
20) AnaKanksh Kriya - Alashya ke karan agam mein kahi gayi vidhi ka
anadar karna.

Dharm Karne mein vimukh (21-25)

21) Prarambh Kriya - Chedan bhedan ki kriya swayam karna ya dekhkar
prasann hona.
22) Parigrahiki Kriya - Parigrah ki raksha mein lage rahna
(preserving attachments)
23) Maya Kriya - Gyaan darshan charitra vagaireh ke vishay me kapat karna.
24) Mithya darshan kriya - Praising others wrong belief.
25) Apratyakhan Kriya - Sanyam Ka palan nahi karna.

1st and 5th kriya brings Punya Karma Ashrav and reduces certain Paap Karma, all others bring Paap karma Ashrav.

No comments: